hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz

hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz
phir to khurshed hi ubhrega mere sar ke ewaz

hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz
patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz

farq kya padta hai ho jae agar dad-rasi
ek nazar dekh hi lo wada-e-mahshar ke ewaz

hum ne chaha tha ki patthar hi se thokar khaen
sar bhi ek hum ko mila rah mein patthar ke ewaz

pasbanan-e-chaman rah gae bairun-e-chaman
nargis-e-khufta mili sarw-o-sanobar ke ewaz

ab kahan pahla sa saqi ke karam ka dastur
aabru bechni pad jati hai saghar ke ewaz

kya khabar hai wo chale aaen saja lun ghar ko
mauj-e-gul aane lagi aaj to sarsar ke ewaz

un ke wade ki jo tasdiq bhi chahi 'nuri'
saf inkar tha taid-e-mukarrar ke ewaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close