hain des-bides ek guzar aur basar mein

hain des-bides ek guzar aur basar mein
be-as ko kab chain mila hai kisi ghar mein

chup main ne lagai to hua us ka bhi charcha
jo bhed na khulta ho wo khul jata hai dar mein

suraj ka ghamand aur nahin tare ke barabar
aisi hi to baaten hain is andher-nagar mein

wo tal nahin sakti jo pahunchne ki ghadi hai
chalta rahe galiyon mein ki baitha rahe ghar mein

huk utthi idhar ji mein udhar kuk uthi koyal
puchhe koi to kaun idhar mein na udhar mein

ai 'arzu' aankhon hi mein kat jate hain din-raat
koi bhi ghadi chain ki hai aath-pahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close