hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq

hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq
na idhar ke hain ilahi na udhar ke aashiq

hai wahi aankh jo mushtaq tere did ki ho
kan wo hain jo rahen teri khabar ke aashiq

jitne nawak hain kaman-dar tere tarkash mein
kuchh mere dil ke hain kuchh mere jigar ke aashiq

barhaman dair se kabe se phir aae haji
tere dar se na sarakna tha na sarke aashiq

aankh dikhlao unhen marte hon jo aankhon par
hum to hain yar mohabbat ki nazar ke aashiq

chhup rahe honge nazar se kahin anqa ki tarah
tauba kije kahin marte hain kamar ke aashiq

be-jigar marka-e-ishq mein kya thahrenge
khate hain khanjar-e-mashuq ke charke aashiq

tujh ko kaba ho mubarak dil-e-viran hum ko
hum hain zahid usi ujde hue ghar ke aashiq

kya hua leti hain pariyan jo balaen teri
ki pari-zad bhi hote hain bashar ke aashiq

be-kasi dard-o-alam dagh tamanna hasrat
chhode jate hain pas-e-marg ye tarke aashiq

be-sabab sair-e-shab-e-mah nahin hai ye 'amir'
ho gae tum bhi kisi rashk-e-qamar ke aashiq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close