hairan hai zamane mein kise apna kahe dil

hairan hai zamane mein kise apna kahe dil
chehre to hain gul-rang magar khot bhare dil

kis samt liye jata hai ye daur-e-taraqqi
dhaton ke hue jism to patthar ke bane dil

ghuncha hai to chatke wo sitara hai to chamke
betab hai sine mein dhadakne ke liye dil

viran-kada-e-dahr mein kya rakkha hai 'munzir'
kuchh dard ke afsane to kuchh tute hue dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close