hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai

hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai
hawa chupke se kahti hai abhi ek khwab zinda hai

ye kis ki narm khushbu hai meri shab ki haweli mein
ye kaisa raqs-e-masti ai dil-e-betab zinda hai

kahan wo sanwli shamen kahan wo reshmi baaten
magar ek lams-e-hairan ka abhi zarnab zinda hai

abhi tak paniyon mein surmai sae utarte hain
abhi tak dhadkanon mein dard ki mizrab zinda hai

siraat-e-ishq hai aur hijr ki tanha masafat hai
wahi hai tishnagi phir bhi fareb-e-ab zinda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close