hamare haal pe kis din jafa nahin karte ye aur baat ki wo barmala nahin karte ye rang-o-nur ki duniya nazar-nawaz sahi tere faqir magar e'tina nahin karte zarur koi khata hum se ho gai hogi wo be-sabab to kisi par jafa nahin karte kabhi to un ko hamara khayal aaega hum is ummid pe tark-e-wafa nahin karte unhin se hum ko mohabbat ki dad hai matlub wahi jo pas-e-mohabbat zara nahin karte dar-e-habib pe jate hain barha 'shafqat' dar-e-habib pe lekin sada nahin karte