hamare mai-kade ka ab nizam badlega hum apna saqi badal denge jam badlega abhi to chand hi mai-kash hain baqi sab tishna wo waqt aaega jab tishna-kaam badlega ye ulti ulti hawaen hain wajh-e-sust-rawi hawaen badlengi tarz-e-khiram badlega badalti rahti hain qadren rahil-e-waqt ke sath zamana badlega har shai ka nam badlega hum apni talkh-nawai mein rang bhar denge hamare sath hamara kalam badlega ye arsh o farsh ki tafriq kuchh nahin 'wamiq' buland o past ka meyar-e-kham badlega