hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga bashar hain hum bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga na mud kar tu ne dekha aur na main tadpa na khanjar na dil howega tera sa na mera sa jigar hoga main kuchh majnun nahin hun jo ki sahra ko chala jaun tumhaare dar se sar phodunga sauda bhi agar hoga chaman mein lai hogi to saba-mashshatgi kar ke jo gul se aage lipta hai kisi bulbul ka par hoga tari ka bhi wahi malik hai jo malik hai khushki ka madad-gar apna har mushkil mein shah-e-bahr-o-bar hoga tasawwur zulf ka gar chhod dun mizhgan ka khatka hai jo sar ke dard se fursat mili dard-e-jigar hoga tabibo tum abas aae main kushta hun firangan ka meri tadbir karne ko muqarrar doctor hoga kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga maza aaega diwanon ki baaton mein pari-zado jo 'agha' ka kisi din dasht-e-majnun mein guzar hoga