hamare zehn mein ye baat bhi nahin aai ki teri yaad hamein raat bhi nahin aai bichhadte waqt jo garje wo kaise baadal the ye kaisa hijr ki barsat bhi nahin aai tujhe na pa sake hum is ka ek sabab ye hai palat ke gardish-e-haalat bhi nahin aai hua yun hath se bazi nikal gai ek roz hamare hisse mein phir mat bhi nahin aai ulajh ke rah gae kya hum bhi kar-e-duniya mein ki naubat-e-safar-e-zat bhi nahin aai