hamari aaj-kal himmat faqat aah-o-fughan tak hai

hamari aaj-kal himmat faqat aah-o-fughan tak hai
dil-e-betab kakul josh bas is ke bayan tak hai

qadam rakkha jo maidan-e-amal mein thokaren khain
hamare hauslon ki shan bas dil se zaban tak hai

ilahi phir na hoga abr-barq-o-rad gulshan mein
musibat is jagah kya sirf mere aashiyan tak hai

kabhi ek din khudara sarguzisht-e-ashiqan sun lo
ki un ka nam baqi ab faqat is dastan tak hai

tajjub hai nazar aata nahin tujh ko sitam apna
tere dar par abhi baqi mere khun ka nishan tak hai

jafa aur zulm ki fariyaad le kar hum kahan jaen
rasai ghair mumkin tere sang-e-astan tak hai

tera zulm-o-sitam tujh ko nahin malum ai zalim
teri bedad ka ek shor saqf-e-asman tak hai

chalenge kaam is duniya ke mere baad bhi lekin
teri mahfil ki ye raunaq faqat mujh khasta-jaan tak hai

khizan jaegi jis din phir wahi josh-e-junun hoga
khamoshi bagh-e-alam mein mere khwab-e-giran tak hai

adad se kah do jab chahe hamara imtihan kar le
hamein bhi dekhna hai hausla us ka kahan tak hai

hamari haq-parasti ki misal aisi hai ai 'hafiz'
rahega zikr baqi ye jahan jab tak jahan tak hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close