hamari khwahishon mein sargirani bhi kahan thi aur us ko zindagi hum se nibhani bhi kahan thi hawa le aai thi is shahr mein ai dost warna abhi pesh-e-nazar naql-e-makani bhi kahan thi tumhaara naqsh in aankhon se dhulta bhi to kaise ki dariya mein wo pahli si rawani bhi kahan thi wo apne zoam mein bichhda magar main sochta hun hamare darmiyan koi kahani bhi kahan thi bahut jaldi chale aae hain hum kar-e-jahan se wagarna zindagi itni purani bhi kahan thi