hamein barbaadiyon pe muskurana khub aata hai andheri raat mein dipak jalana khub aata hai ghalat-fahmi tumhein kuchh aur aata ho na aata ho achanak aag pani mein lagana khub aata hai zara si baat pe diwar khinchwane laga hai wo use bhi rai ka parbat banana khub aata hai tere har jhuth ko sach man lete hain hamesha hum hamein bhi rasm-e-ulfat ko nibhana khub aata hai kisi ke samne sar ko jhukate hum nahin lekin khuda ke samne sar ko jhukana khub aata hai tumhaare gham ne hi bakhshi hai hum ko ye hunar-mandi hamein ashko ko ab moti banana khub aata hai