hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai
tumhaare shahr mein fikr o nazar pe pahra hai

saza ke taur pe main doston se milta hun
asar shikast-pasandi ka mujh pe gahra hai

wo ek lakht khalaon mein ghurte rahna
kisi tawil masafat ka pesh-khema hai

ye aur baat ki tum bhi yahan ke shahri ho
jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai

hum apne shanon pe phirte hain qatl-gah liye
khud apne qatl ki sazish hamara wirsa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close