hamein yunhi na sar-e-ab-o-gil banaya jae hamare khwab diye jaen dil banaya jae dikhai deta hai taswir-e-jaan mein donon taraf hamara zakhm zara mundamil banaya jae agar jalaya gaya hai kahin diye se diya to kya ajab ki kabhi dil se dil banaya jae shadid-tar hai tasalsul mein hijr ka mausam kabhi milo ki use mo'tadil banaya jae ye naqsh ban nahin sakta to kya zaruri hai kharab-o-khasta o khwar-o-khajil banaya jae