hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai par ab hairat to us par hai ki dariya jal raha hai tumhein fursat ho jine se to apne par dekho pas-e-diwar-e-ayyam ek zamana jal raha hai zara si der ko shane se apna sar hata le tere rukhsar ke shoalon se shana jal raha hai safar karna hai agli subh aur garmi-e-pa se mere bistar ka sara paitana jal raha hai pighal kar gir rahe hain mere sar par chand tare suna hai aasman ka shamiyana jal raha hai