hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae

hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae
pahad tode gae aur mahal banae gae

tulu-e-subh ki afwah itni aam hui
ki nisf shab ko gharon ke diye bujhae gae

ab ek bar to qudrat jawab-dah thahre
hazar bar hum insan aazmae gae

falak ka tantana bhi tut kar zamin pe gira
sutun ek gharaunde ke jab girae gae

teri khudai mein shamil agar nasheb bhi hain
to phir kalim sar-e-tur kyun bulae gae

ye aasman the ki aaine the khalaon mein
mah-o-nujum mein jhanka to hum hi pae gae

daraaz-e-shab mein koi apna ham-safar hi na tha
magar 'nadim' sadaen to hum lagae gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close