hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab hamin is daur mein barbaad hain aabaad hain sabab khaksaron se bhala itni kudurat kya hai ek daman ke jhatakne mein to barbaad hain sabab shikwa ab kya hai tujhe kahte na the hum ai dil jin ke talwar se abru hain wo jallad hain sab uqde khul jaenge aghyar ke rafta rafta hamin zulfon ke giraftar hain aazad hain sab un hasinon mein bura kis ko kahun kis ko bhala mujhe diwana banane ko jo tayyar hain sab aastin dida-e-giryan se juda ho kyunkar nahin bhule kisi chitwan ke maze yaad hain sab kis ke kakul nahin shanon pe khule rahte hai dam-bar-dosh mere waste sayyaad hain sabab koi sunta nahin fariyaad kisi ke bulbul kahne ko jitne hain gul-gosh be-fariyaad hain sab dasht-gardi hi dawa mujh ko agar sauda hai khar jangal ke nahin nashtar-e-fassad hain sab shama roti hai to is bazm mein sar katta hai dadras koi nahin bar-sar-e-bedad hain sab na to raftar bure aur na guftar bure jitni us shab mein adaen hain khuda-dad hain sab sadqe rukh par hun ki qurban qad-e-zeba par ghairat-e-gul mein ye but ghairat-e-shamshad hain sab nsibatan farq nahin ek hain abna-e-jahan ek hai un ki aur ek bap ki aulad hain sab us ki diwar se sar phod rahe hain aashiq rashk-e-shirin hai wo but ghairat-e-farhad hain sab dil-lagi kis se karun 'bahr' ki ji chhut gaya mehr-pesha nahin koi sitam-ijad hain sab