hans diye zakhm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar mujh pe mail hai bahut nargis-e-shahla-e-bahaar be-khayali hai khayal-e-rukh-e-zeba-e-bahaar bas yahi aarzu-e-dil hai ki aa jae bahaar mast in surkh nazaron mein nazar aae bahaar aatish-e-soz-e-mohabbat se jo jal jae bahaar misl-e-majnun nazar aaya mujhe sauda-e-bahaar saj ke aai hai mere samne laila-e-bahaar jab wo gulshan mein sanwarti hai barasti hai sharab jab wo bahke to zamane ko bhi bahkae bahaar jhum kar phul rukh-e-yar pe hote hain fida kaif-e-nazzargi-e-husn se lahrae bahaar kashish-e-rang-e-mohabbat se wo aaya hai yahan ai khuda ab mere ghar se na kabhi jae bahaar moajiza main ne ye dekha tere lab par aksar muskurahat mein nihan barq-e-tajalla-e-bahaar meri aankhon mein utar aai hai taswir teri meri aankhon se zara dekh tamasha-e-bahaar aaina dil ka 'suhail' aaina-e-shauq hai bas us ki masum nigahi se na sharmae bahaar