hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha sakht kitna marhala tujh se juda hone ka tha rat-jage taqsim karti phir rahi hain shahr mein shauq jin aankhon ko kal tak raat mein sone ka tha is safar mein bas meri tanhai mere sath thi har qadam kyun khauf mujh ko bhid mein khone ka tha har bun-e-mu se darindon ki sada aane lagi kaam hi aisa badan mein khwahishen bone ka tha main ne jab se ye suna hai khud se bhi nadim hun main zikr tujh honton pe mere dar-ba-dar hone ka tha