hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya

hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya

utha to ja bhi chuka tha ajib mehman tha
sadaen de ke mujhe nind se jaga bhi gaya

ghazab hua jo andhere mein jal uthi bijli
badan kisi ka tilismat kuchh dikha bhi gaya

na aaya koi lab-e-baam sham dhalne lagi
wufur-e-shauq se aankhon mein khun aa bhi gaya

hawa thi gahri ghata thi hina ki khushbu thi
ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya

chalo 'munir' chalen ab yahan rahen bhi to kya
wo sang-dil to yahan se kahin chala bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close