hanste hue huruf mein jis ko ada karun bachchon se kis jahan ki kahani kaha karun ya rab azab-e-harf-o-takhaiyyul se de najat ghazlen kaha karun na mazamin likha karun qadmon mein kis ke dal dun ye nam ye nasab kuchh to batao kis ka qasida padha karun ab tak to apne aap se pichha na chhut saka mumkin hai kal se aap ke haq mein dua karun kitni nai zaban ho kaisa naya sukhan is ahd ko to dekh lun 'ghaalib' ko kya karun 'shahpar' meri hadon ka tayyun kare koi aankhon se bah rahun ki ragon mein phira karun