haqiqat zist ki samjha nahin hai

haqiqat zist ki samjha nahin hai
wo apne dasht se guzra nahin hai

andhere raqs karte hain musalsal
ki suraj raat ko aata nahin hai

karega khud-kushi hi ek din wo
sukun jis zehn ko milta nahin hai

uthae ghumti hai zard patte
hawa se aur kuchh chalta nahin hai

na dubo shama mein parwano tum, ye
dahakti aag hai dariya nahin hai

umangon ki kai nadiyan hain is mein
samundar hai ye dil sahra nahin hai

ye jo aatish-fishan hai mujh mein 'sima'
dahakta rahta hai bujhta nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close