har aan ek naya imtihan sar par hai zamin zer-e-qadam aasman sar par hai duhai deti hain kaisi hari-bhari faslen kisi ghanim ki surat lagan sar par hai main khandan ke sar par hun baadalon ki misal so bijliyon ki tarah khandan sar par hai qadam jamaun to dhanste hain reg-e-surkh mein paun jo sar uthaun to nili chatan sar par hai main jaanta hun tlega ye jaan hi le kar rah-e-farar nahin mehman sar par hai ek aur wasl-e-sukhan aur ek visal-e-nigah mufarqat ki ghadi meri jaan! sar par hai