har aashna mein kahan KHu-e-mehrmana wo

har aashna mein kahan khu-e-mehrmana wo
ki bewafa tha magar dost tha purana wo

pukarte hain mah-o-sal manzilon ki tarah
laga hai tausn-e-hasti ko taziyana wo

hamein bhi gham-talabi ka nahin raha yara
tere bhi rang nahin gardish-e-zamana wo

ab apni khwahishen kya kya use rulati hain
ye baat hum ne kahi thi magar na mana wo

yahi kahenge ki bas surat-ashnai thi
jo ahd tut chuka yaad kya dilana wo

is ek shakl mein kya kya na suraten dekhin
nigar tha nazar aaya nigar-khana wo

bujha diya hai tujhe bhi 'faraaz' duniya ne
kahan gaya tera har waqt muskurana wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close