har-chand gam gam hawadis safar mein hain

har-chand gam gam hawadis safar mein hain
wo khush-nasib hain jo teri rahguzar mein hain

takid-e-zabt ahd-e-wafa izn-e-zindagi
kitne payam ek nigah-e-mukhtasar mein hain

mazi sharik-e-haal hai koshish ke bawajud
dhundle se kuchh nuqush abhi tak nazar mein hain

lillah is khulus se pursish na kijiye
tufan kab se band meri chashm-e-tar mein hain

manzil to khush-nasibon mein taqsim ho chuki
kuchh khush-khayal log abhi tak safar mein hain

mahfil mein un ki samt nigahen na uth sakin
hum bil-khusus ahl-e-nazar ki nazar mein hain

ye kaise rah-rau the ki har naqsh-e-pa ke sath
sajdon ke kuchh nishan bhi is rahguzar mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close