har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin

har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin
mujh ko ye dar hai ki laen na ye tufan tujh bin

lala-o-gul ki taraf kis ki bala dekhe hai
ji ko bhati hi nahin sair-e-gulistan tujh bin

aa gaya bas-ki khalal mazhab-o-millat mein meri
na raha gabr mein pyare na musalman tujh bin

dil gaya din gaya sabr gaya tab gai
yun hi apne to hue saikdon nuqsan tujh bin

na khile ghuncha-e-taswir ke manind kabhu
lab-e-khamosh mere ai gul-e-khandan tujh bin

jab se ai gul tu gaya bistar-e-ashiq pe tere
gul-e-baalin na hue sumbul-o-raihan tujh bin

samne se meri aankhon ke na ja man kaha
kis ko dekhunga main phir ai mah-e-taban tujh bin

roz dushman ka bhi is tarah na katiyo ya-rab
main ne jis zulm se kati shab-e-hijran tujh bin

mah-e-nau sham ke hote hi tasawwur mein tere
tha khada sar pe liye khanjar-e-uryan tujh bin

aur jo jati thi kabhi khosha-e-parwin pe nigah
wo bhi lagta tha sanam dasta-e-paikan tujh bin

'mushafi' ja ke gulistan mein kare kya pyare
ki gulistan hai use khana-e-zindan tujh bin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close