har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye
sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye

tamam umr khushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe khushi ke liye

na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya
kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye

ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar
zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye

kabhi uthe the jo khurshid-e-zindagi ban kar
taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye

sitam-taraazi-e-daur-e-khirad khuda ki panah
ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye

rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid'
charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close