har ek aankh ko kuchh tute khwab de ke gaya wo zindagi ko ye kaisa azab de ke gaya na de saka mujhe wusat samundaron ki magar samundaron ka mujhe iztirab de ke gaya wo kis liye mera dushman tha jaane kaun tha wo jo aankh aankh musalsal sarab de ke gaya khala ke nam ata kar ke chhanw ki miras mujhe wo jalta hua aaftab de ke gaya wo ped unchi chatanon pe ab bhi tanha hain unhi ko sari mata-e-sahab de ke gaya har ek lafz mein rakh kar sarab mani ka har ek hath mein wo ek kitab de ke gaya main kul hun aur tu juz mein bhi kul hai ai 'manzur' bichhadte waqt mujhe ye khitab de ke gaya