har ek faisla us ne behtar kiya mujhe aankh di tum ko manzar kiya dil-e-khun-chakida munawwar kiya to aankhon ka sahra samundar kiya lakiron ko raushan sitare diye sitaron ko apna muqaddar kiya wahin dubne ka yaqin aa gaya jahan us ne hum ko shanawar kiya ujala nafi hai jab us ne kaha andhere mein the hum ne bawar kiya