har ek gam pe sadiyan nisar karte hue main chal raha tha zamane shumar karte hue yahi khula ki musafir ne khud ko par kiya teri talash ke sahra ko par karte hue main rashk-e-resha-e-gul tha badal ke sang hua badan ko tere badan ka hisar karte hue mujhe zarur kinare pukarte honge magar mein sun nahin paya pukar karte hue mein iztirab-e-zamana se bach nikalta hun tumhaare qaul ko dil ka qarar karte hue jahan-e-khwab ki manzil kabhi nahin aai zamane chalte rahe intizar karte hoe main rah-e-sud-o-ziyan se guzarta jata hun kabhi gurez kabhi ikhtiyar karte hue nahin gira meri qatil ana ka taj mahal main mar gaya hun khud apne pe war karte hue main aur nim-dili se wafa ki rah chalun main apni jaan se guzarta hun pyar karte hue yaqin chhod ke nayyar guman pakadta raha nigah-e-yar tera e'tibar karte hue