har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein

har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein
kitne hasin the sham-o-sahar us dayar mein

wo bagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zar
nashshon se khelti thi nazar us dayar mein

aasan tha safar ki har ek rahguzar par
milte the saya-dar shajar us dayar mein

har-chand thi wahan bhi khizan ki udas dhup
dil par nahin tha gham ka asar us dayar mein

mahsus ho raha tha sitare hain gard-e-rah
hum the hazar khak-basar us dayar mein

'jalib' yahan to baat gareban tak aa gai
rakhte the sirf chaak-jigar us dayar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close