har gam pe aawargi-o-dar-ba-dari mein ek dhyan ka saya hai meri ham-safari mein ta-hadd-e-nazar pighli hui ret ka dariya kis samt nikal aae hain ye be-khabari mein kis ki tarab-andaz-nazar ghol rahi hai andoh-o-gham-o-soz mizaj-e-bashari mein kya koi kahin kunj-e-khayaban-e-sukun hai ai dasht-e-gham-e-zist teri be-shajari mein ai qarya-e-dil dekh guzarti hai isi taur har shahr pe barbaadi-o-zer-o-zabari mein ahl-e-talab-o-shauq zamanon se pade hain arsa-gah-e-khud-sozi-o-hairan-nazari mein lahrae na lahrae wo ab barq-e-khad-o-khal ab hum nahin khar-e-khas-e-ashufta-sari mein ek hamdam-e-derina ki yaadon ki kasak hai khushbu-e-khush-anfasi-e-baad-e-sahari mein nigaran meri jaanib nigah-e-khush-hunran hai kuchh to hunar aakhir hai meri be-hunari mein ek tesha-e-sad-para ki surat hain 'bashir' ab hasil yad-e-tula tha jinhen shisha-gari mein