har ghadi mujh ko be-qarar na kar zindagi meri sogwar na kar jis ke sahil ka kuchh pata hi nahin aisi kashti ko ikhtiyar na kar be-khudi meri be-khudi na rahe itna ehsan gham-gusar na kar is qadar mujh pe iltifat-o-karam mere mohsin tu sharmsar na kar pak kar le hawas se dil pahle kaun kahta hai tujh ko pyar na kar apne wade ka rakh bharam ai dost kisht-e-ummid reg-zar na kar khair-khwahi ke nam par hargiz mere aibon ka ishtihaar na kar aadmi hai to aadmi hi rah aadamiyat ko daghdar na kar jo 'sahar' dil se bhul baitha ho tazkira us ka bar bar na kar