har ghazal har sher apna istiara-ashna fasl-e-gul mein jaise shakh-e-gul sharara-ashna khun thuka dil jalaya naqd-e-jaan qurban ki shahr-e-fan mein main raha kitna khasara-ashna kah gaya apni nazar se an-kahe qisse bhi wo bazm-e-harf-o-saut mein jo tha ishaara-ashna apne tute shahparon ke nauhagar to the bahut dasht-e-fan mein tha na koi sang-e-khara-ashna umr bhar biphri hui maujon se jo ladta raha wo samundar to azal se tha kinara-ashna