har khata us ki hamesha darguzar karti hui faslon ko dil ki chahat mukhtasar karti hui zehn-o-dil ki raushni ko tez-tar karti hui guftugu sidhe teri dil par asar karti hui mere jazbon ke fusun mein qaid wo hota hua us ke lahje ki khanak mujh par asar karti hui zindagi ki tez-gami aur daulat ki hawas aane wale kal se hum ko be-khabar karti hui hausla deta hua sa mujh ko mera e'timad be-yaqini dil mein paida dar pe dar karti hui bhola-pan aur sadgi par us ki main mitta hua ek surat mohni si dil mein ghar karti hui kis ko ye malum ai 'nayab' nisbat kis ki hai mere har naqsh-e-qadam ko mo'atabar karti hui