har pal main tadap kar dam-e-akhir hua jata hun aashiq tha main poshida zahir hua jata hun is umr-e-jahaalat mein dil khana-kaba tha ab ilm-o-hunar pa kar kafir hua jata hun ye kaise bhala kah dun bakhsha nahin kuchh us ne har sans pe main us ka shakir hua jata hun ek bar kiya main ne bas pyar anadi sa han pyar ko likh likh kar mahir hua jata hun