har-qadam par shauq-e-manzil ki farawani to hai

har-qadam par shauq-e-manzil ki farawani to hai
rah-e-dushwar-e-mohabbat mein ye aasani to hai

be-shak is jine se mar jaane mein aasani to hai
lekin ai dil marzi-e-qatil ki qurbani to hai

sach hai shewan se mere un ko pareshani to hai
lekin aakhir dard-e-uzr-e-nala-e-samani to hai

kaamyabi ho na ho baitha na rah tadbir kar
muddaa bas mein nahin hai sai-e-imkani to hai

aaj ye taskin kafi hai ki kal roz-e-jaza
ruedad-e-zist kah kar dad-e-gham pani to hai

han yahan ye hai ki maqsud-o-tamanna sath hain
warna ye jannat hamari jaani-pahchani to hai

ek zarf-e-dil hai us mein do ki gunjaish kahan
dur ai jamiyat-e-khatir pareshani to hai

han bure ko bhi na iza de ki us ki zat mein
khu-e-insani nahin hai ruh-e-haiwani to hai

rahnumai aql se chahi shuru-e-ishq mein
afw kar ai be-khudi ye meri nadani to hai

dekhiye bazar-e-mahshar mein ye kin damon bike
jins-e-gham ki khair se duniya mein arzani to hai

aur niklegi koi tadbir pairahan-dari
hon jo shal hain hath shauq-e-chaak-damani to hai

aaine mein eqtidar-e-husn ki surat kahan
aaina rakh de idhar aa meri hairani to hai

un ko kya tute kisi ka dil ki ruswa ho koi
khush rahen yusuf ki sabit pak-damani to hai

kis gharaz se phir gawara kijiye taklif-e-zabt
raaz rakh kar bhi mohabbat ki saza pani to hai

ahl-e-dil se ye jahan khali bhi rahta hai kahin
'urfi'-o-'ghaalib' nahin 'fani' nahin 'mani' to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close