har roz hi imroz ko farda na karoge wada ye karo phir kabhi wada na karoge ye man liya ahd-e-wafa bhul chuke ho kya bhul ke bhi tum hamein chaha na karoge mahfil se hi uth jaenge hum aise qaba-chaak wahshat ka hamari kabhi shikwa na karoge achchha tha ki jab aariza-e-hijr nahin tha achchha hai ki ab tum kabhi achchha na karoge jis raaz mein shamil hai hamara bhi fasana us raaz ko kya hum pe bhi ifsha na karoge mar jaega dil hasrat-e-anwar-e-sahar mein be-parda agar tum rukh-e-zeba na karoge kya aur na tha tark-e-talluq ka bahana sunte hain ki ab tum hamein ruswa na karoge samjho to 'zahir' un ki nigahon ke ishaare kya aaj bhi izhaar-e-tamanna na karoge