har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya

har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya
han tera intikhab kiya kya ghalat kiya

raunda nahin kabhi kisi jugnu ko zer-e-pa
zarre ko aaftab kiya kya ghalat kiya

lab par har ek shakhs ke thi maslahat ki mohr
hum ne hi kuchh khitab kiya kya ghalat kiya

jo mawara-e-zehn-e-faqihan tha wo gunah
us ka bhi irtikab kiya kya ghalat kiya

kab tak pisenge zulm ki chakki mein mere log
elan-e-inqalab kiya kya ghalat kiya

jo dushman-e-awam the nafrat unhin se ki
aur ishq be-hisab kiya kya ghalat kiya

is aas mein ki sab ko mayassar ho sukh ki nind
qurban har ek khwab kiya kya ghalat kiya

aaya adab bara-e-adab ka khayal jab
likhne ka band bab kiya kya ghalat kiya

'khalid' rahe na sab ki tarah bas qalam quli
zulmat ko be-naqab kiya kya ghalat kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close