haram kya dair kya donon ye viran hote jate hain tumhaare mo'taqid gabru musalman hote jate hain alag sab se nazar nichi khiram aahista aahista wo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jate hain siwa tifli se bhi hain bholi baaten ab jawani mein qayamat hai ki din par din wo nadan hote jate hain kahan se launga khun-e-jigar un ke khilane ko hazaron tarah ke gham dil ke mehman hote jate hain kharabi khana-ha-e-aish ki hai daur-e-gardun mein jo baqi rah gae hain wo bhi viran hote jate hain bayan main kya karun dil khol kar shauq-e-shahadat ko abhi se aap to shamshir-e-uryan hote jate hain ghazab ki yaad mein ayyariyan wallah tum ko bhi gharaz qael tumhaare hum to ai jaan hote jate hain udhar hum se bhi baaten aap karte hain lagawat ki udhar ghairon se bhi kuchh ahd-o-paiman hote jate hain