hasti ke har ek mod pe aaina bana hun mit mit ke ubharta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun wo dast-e-talab hun jo dua ko nahin uthta jo lab pe kisi ke nahin aai wo dua hun is daur mein insan ka chehra nahin milta kab se main naqabon ki tahen khol raha hun basti mein basere ka irada to nahin tha diwana hun sahra ka pata bhul gaya hun jati hi nahin dil se teri yaad ki khushbu main daur-e-khizan mein bhi mahakta hi raha hun