haTao aaina ummid-war hum bhi hain

hatao aaina ummid-war hum bhi hain
tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain

tadap ke ruh ye kahti hai hijr-e-jaanan mein
ki tere sath dil-e-be-qarar hum bhi hain

rahe dimagh agar aasman pe dur nahin
ki tere kuche mein mast-e-ghubar hum bhi hain

kaho ki nakhl-e-chaman hum se sar-kashi na karen
unhin ki tarah se bagh-o-bahaar hum bhi hain

hamare aage zara ho samajh ke zamzama-sanj
ki ek naghma-sara ai hazar hum bhi hain

kahan tak aaine mein dekh-bhaal idhar dekho
ki ek nigah ke ummid-war hum bhi hain

sharab munh se lagate nahin hain ai zahid
firaq-e-yar mein parhez-gar hum bhi hain

hamara nam bhi likh lo jo hai qalam jari
qadim aap ke khidmat-guzar hum bhi hain

huma hain gird meri haddiyon ke aath pahr
sag aa ke kahte hain ummid-war hum bhi hain

jo ladkhada ke gire tu qadam pe saqi ke
'amir' mast nahin hoshyar hum bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close