hath diya is ne mere hath mein main to wali ban gaya ek raat mein ishq karoge to kamaoge nam tohmaten batti nahin khairaat mein ishq buri shai sahi par dosto dakhl na do tum meri har baat mein mujh pe tawajjoh hai sab aafat ki koi kashish to hai meri zat mein rah-numa tha mera ek samri kho gaya main shahr-e-tilismat mein mujh ko laga aam sa ek aadmi aaya wo jab kaam ke auqat mein sham ki gul-rang hawa kya chali dard mahakne laga jazbaat mein hath mein kaghaz ki liye chhatriyan ghar se na nikla karo barsat mein rabt badhaya na 'qatil' is liye farq tha donon ke khayalat mein