hath nikle apne donon kaam ke dil ko thama un ka daman tham ke ghunt pi kar baada-e-gulfam ke bose le leta hun khali jam ke raat din phirta hai kyun ai charkh-e-pir tere din hain rahat o aaram ke is nazakat ka bura ho bazm se uthte hain wo dast-e-dushman tham ke chashm-e-mast-e-yar ki ek dhum hai aaj kal hain daur daur-e-jam ke ya jigar mein ya rahega dil mein tir ye hi do goshe to hain aaram ke wo karen uzr-e-wafa achchhi kahi mujh pe radde rakhte hain ilzam ke jab qadam kabe se rakkha su-e-dair tar uljhe jama-e-ehram ke khush hain wo daur-e-falak se aaj kal din phire hain gardish-e-ayyam ke aa gaya hai bhul kar khat is taraf wo to aashiq hain mere hamnam ke hath se sayyaad ke gir kar chhuri kat gae halqe hamare dam ke qasidon ke muntazir rahne lage pad gae un ko maze paigham ke kya kisi dargah mein jaana hai aaj subh se saman hain hammam ke puchhte hain hazrat-e-zahid se rind dam kya hain jama-e-ehram ke lab utar aae hain wo tarif par hum jo aadi ho gae dushnam ke dawa-e-ishq-o-wafa par ye kaha sab baja lekin mere kis kaam ke ban-sanwar kar kab bigadta hai banao subh tak rahte hain jalwe sham ke jaur se ya lutf se pura kiya aap pichhe pad gae jis kaam ke hai gada-e-mai-kada bhi kya haris bhar liye jholi mein tukde jam ke nala o fariyaad ki taqat kahan baat karta hun kaleja tham ke khugar-e-bedad ko rahat hai maut bhagta hun nam se aaram ke 'dagh' ke sab harf likhte hain juda tukde kar dale hamare nam ke