hath phailao to suraj bhi siyahi dega kaun is daur mein sachchon ki gawahi dega soz-e-ehsas bahut hai ise kam-tar mat jaan yahi shoala tujhe baalida-nigahi dega yun to har shakhs ye kahta hai khara sona hun kaun kis rup mein hai waqt bata hi dega hun pur-ummid ki sab aastin rakhte hain yahan koi khanjar to meri pyas bujha hi dega shab-gazida ko tere is ki khabar hi kab thi din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega aaina saf-dil itna bhi nahin ab ki tumhein asl chehre ke khat-o-khal dikha hi dega tere hathon ka qalam hai jo asa-e-darwesh yahi ek din tujhe khurshid-kulahi dega