hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga

hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga
hath jo hoga to meri maut ka saman hoga

saqiya hijr mein mai-khana bayaban hoga
daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga

ai junun phir mujhe khush aane lagi uryani
ab na daman hi rahega na gareban hoga

phir chalenge tera qad dekh ke gulzaron mein
phir har ek sarw-o-saman sarw-e-charaghan hoga

ghar mein dil phir mera ghabrane laga aap se aap
ai junun phir ye makan khana-e-zindan hoga

phir khush aati hai mere dil ko shab-e-mah ki sair
ishq phir chand se mukhde ka do-chandan hoga

in dinon phir tujhe 'goya' jo hai chupki si lagi
phir irada taraf-e-mulk-e-khamoshan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close