hauslon se bikhar bhi jata hun

hauslon se bikhar bhi jata hun
main misalon se dar bhi jata hun

zindagi ka safar bhi jari hai
sham hote hi ghar bhi jata hun

ghaur se dekhta hun duniya ko
raston se guzar bhi jata hun

han jahan par sawal ugte hain
hasb-e-adat udhar bhi jata hun

jhut ke sach ke darmiyan kabhi
main takalluf se mar bhi jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close