hawa aai na indhan aa raha hai charaghon mein naya-pan aa raha hai jamal-e-yar tere jhankne se kuen se pani raushan aa raha hai main galiyon mein nikalna chahta hun mere raste mein aangan aa raha hai mujhe shahtut ki khwahish bahut thi magar mujh par to jaman aa raha hai miyan main apni jaanib aa raha hun khabar kar do ki dushman aa raha hai mujhe khairaat banti ja rahi hai mere hathon mein bartan aa raha hai gale mein haar aana chahiye tha gale mein tauq-e-gardan aa raha hai