hawa-e-daur-e-mai-e-khush-gawar rah mein hai khizan chaman se hai jati bahaar rah mein hai gada-nawaz koi shahsawar rah mein hai buland aaj nihayat ghubar rah mein hai adam ke kuch ki lazim hai fikr hasti mein na koi shahr na koi dayar rah mein hai na badraqa hai na koi rafiq sath apne faqat inayat-e-parwar-digar rah mein hai safar hai shart musafir-nawaz bahutere hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai maqam tak bhi hum apne pahunch hi jaenge khuda to dost hai dushman hazar rah mein hai thaken jo panw to chal sar ke bal na thahr 'atish' gul-e-murad hai manzil mein khar rah mein hai
This is a great nawaz deobandi shayari mp3 download. Please share if you liked this!!!