hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe zamin hisar-e-kashish se na tu nikal mujhe siwa-e-ranj-e-nadamat na kuchh mila tum ko main kah raha tha banao na tum misal mujhe shikast-e-dil ne ajab gham ko suraten di hain rafaqaton ki ghadi hai zara sambhaal mujhe main khwab khwab jaziron ki sair ko niklun utha ke parda-e-shab hairaton mein dal mujhe kabhi kabhi use dil se aziz-tar jaana ye sar jo dosh pe lagta raha wabaal mujhe zamin main teri chahat mein zer-e-dam aaya asir kar nahin paya tha koi jal mujhe bayaz-e-waqt pe us ne likha hai nam mera yaqin kar ki na hoga kabhi zawal mujhe sukhan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe